Phone ya computer aap har time us par kuch na kuch browser karte rahte hai. Aap phone me website par kuch padh rahe hote hai, Music ya movie download kar rhe hote hai ya phir online streaming ka luft le rhe hote hai. Parntu Rhate hai internet par hi. Lekin internet ka upyog kar rhe hai, to savdhan jaroor rhe, kyuki aaj website aapki personal data ko chori karti hai aur unka galat istemaal karti hai. Itna hi nhi, kai websites me to viral hote hai, jo apke pc tak ko hack kar sakhte hai. In baato ko janane ke baad apke jahan me yhe sabal ana lajme hai ke akhir kaise kisi website ko jaanche ke bhe shi hai ya nhi? To chaliye apko btate hai kuch ese tools ke baarr me, jo apke liye upyogi ho sakhte hai.

Virustotal


Mobile ya computer par kisi bhi website ko jachne ke liye yhe ek acha tool hai. Iskeadhyam se pata kar sakhte hai ke website ke saath virus ane ka khtara hai ki nhi, sites ko open karne me koi jokhim hai to nhi hai? Yhe Yhe website apko dusri website ke security sambandhit lagbag sabhi jankari dene me sacham hai. Itna hi nhi, yadi kisi download file par apko saak hai ke isme virus ho sakhta hai, to scan bhi kar sakhte hai. Scan ke gye list me good, spam aur trojan viral sahit kai anye prakar ke jankaryan milegi. Kisi bhi website ko janchna ke liye sabse pahale apko https://www.virustotal.com/#/home/upload par jana hai.
Yha niche apko file aur url ka option milega. File search karne ke liye apne pc se file ko browse kar lena hoga, jabki url ke liye aap bba likh sakhte hai yha phir paste kar sakhte hai. Uske baad entre karte hi puri jankari aa jayegi. Url aur files ke saath hi search bhi hai. Aap kisi Url, IP aur Domian ko search kar sakhte hai.



Web Of Trust

Yhe bhi bhehad upyogi site hai. Sabsee achi baat yhe khi ja sakhti hai ke isme perameter user review ke adhar par tay kiya jata hai. WOT (Web Of Trust) website ko good, bad or poor ke adhar par tay kiya karta hai. Iske saath hi isme nile, pile aur kale rang ka bhi upyogi kiya jata hai, taki upbhokta dekh kar hi tay kar sakhe ke bhe website surf karne ke layak hai bhi ya nhi. Kisi website ko search karne ke liye sabse phale aapko htts://www.mywot.com par jana hai aur website ka naam likhkar ya paste kar entre karna hai.
Iske saath hi settings aa jayegi. Yadi apne kisi website ko search kiya hai, to niche hi user review bhi apko mil jayega. Saath hi, yhe website child seafty settings bhi bta deta hai. Aap chahe, to WOT ka chrome extension bhi download kar sakhte hai.

I hope ye artical apko acha laga hoga or isme achi jankari mili hogi. To aap apne kuch second nikal kar is post ko apne friends ke sath social media par share jarur kare.