Mobile phone ke internal storage ko badhane ke liye log Micro SD card ka istemal karte hai. Kai baar purana hote hi card me problems aane lagti hai, jaise - kabhi yahe detect nahi karta hai to kabhi file ko open nhi hone deta.

Mostly log ese Sd card ko use karna band kar dete hai use fake dete hai magar aap chae to ese card ko khud hi repair kar sakhte hai kaise janne ke liye post ko dyan se pura read kare.

Mostly dekha jata hai ke micro sd card me teen tarahe ke problem logo ko face karni padti hai -

i) SD card phone me detect nhi jo rhi hai lekin computer me detect ho rhi.

ii) Kai baar memory card computer or mobile me lagane se dikhta to hai, lekin card open nhi hota hai.

iii) Or last memory card show hi nhi ho rha hai to

Aaj hum in teeno problems ko kaise slove kare is bare me janege. Is liye is post ko carefully end tak read kare.

SD Card ko Repair Kaise Kare



First Problem
* Agar memory card me problem hai, to phale data backup le le. Yadi phone me Sd card phone me detect nhi ho rha hai, to phale use ek ya do computer par check kare, ke bhe bha par detect ho rhi hai ya nhi.

* Aagar card mobile me detect nhi kar rha hai aur computer par detect kar rhi hai, to phone ke data backup lekar card ko format kar le. 

* Format karne ke liyelcard ko Computer se connect kar ,my computer jakar us par right click kare aur fet32 par format karle. Isse ye problem khatam ho jayegi.

Second Problem

Kai baar memory card computer or mobile me lagane se dikhta to hai, lekin card open nhi hota hai.

* Ese me Sabse phale card par curser le jaue or right click kare.

* Yha explorer ka option milega, us par click kare.

* Isme niche properties ka option milega, usme jaye 

* Yha ek tab tools naam ka hoga. Us par click kare aur "check now error" ko click kar de.

Third Problem
Yadi memory card show hi nhi ho rha hai to,

* Sabse phale apne computer par system manager ko open kare or disk management me jaye.

* Yadi apke pass window 10 hai to My PC par right click karte hi manage ka option milega, us par click karna hai.

* Yha PC par uplabd sabhi disk ke list aajayegi. Right side ke taraf Micro SD card dikhai dega. Us par right click kare.

* Isme " change drive later and path" ka option milega, us par click kare.

∆Read More:- Apne Memory Card Ka storage 4Gb Se 128 Gb Me kaise Badhaye

* Ek new window open hogi usme aapko add ka option milega, us par click kar drive ko ko koi Alfabate(x, y, z) me naam de de. Ise Ise finish karte hi aapka SD show hone lagega.

Aapko hamri yhe post kaise lagi comment kar apna feedback jarur de or ise Friends ke sath share bhi kare.