Jaiska ki humne apko ko ise phale bloging ki bare me bataya tha ki blog kya hai or isko kaise banaye.Abb isme Favicon lagane ki bari hai ki isme favicon kaise lagaye.
Ajj ki humari post blog users ke lye hai jisme hum apko batayege ki blog me Favicon icon kaise lagaye.Or sath me ye bhi batayege ki ye humare blog ke lye kitna jaruri hai? Ye humari blog ko ek new phechan deta hai jisse ki humare blog ke readers ko pta chal jata hai ki ye humara blog hai.Jub hum blogspot par blog banate hai to usme defalt me blogger ka icon dikhta hai jisse aap asani se apne browser pe apne blog ka adders bar ke upar dekh sakhte hai.Blogging plateform par bahuat sare blogs available hai jinka favicon icon same hota hai jisse logo ko apke blog ko phechane ne problem hoti hai or sath me hi apka bkog professional bhi nhi lgta islye ise change kar apna icon ko lga kar apne blog readers ko ek phechan krate hai or sath hi apne blog ko ek professional look bhi dete hai.

Blog ke lye favicon kyu jaruri hota hai?

Jab hum kisi bhi browser me bahuat sari website ko open karte hai to sare ek tab ke rup me ban jate hai.Aab aap kisi or website par work kar rhe hai ya koi or tab par work kar rhe hai To aap jab apni website par ana chahte hai to aap to Aap apni website ka favicon ko dekh kar asani se phechan kar sakhte hai ke ye bo website hai jis par hum jana chahte hai.
Isi trahe koi vistor apne browser me bahuat sare blog open kiye hua hai jisme aapka bhi blog hai.Yadi aab bo apke blog par jana chaega to bo sabse phale apke blog icon/Favicon ko dekhe ya phechane ga ki bhe bo hi site hai jis par hum jana chahte hai.Or phir usi tab par click karega jis par apke blog ka favicon hoga.
Is trahe apke blog reader ke lye bahuat helpful hota hai ye har blog ko ek apni identity provide krata hai jisse apke blog readers ko apke blog ko phechanene me koi problem nhi hoti.

Blog ke lye favicon icon kaise banate hai.

Agar aap apne blog ke lye favicon/icon banana chahte hai to uske lye sabse acha tool Adobe photoshop hai jisse aap ek unique icon create kar sakhte hai.
Lekin khafi logo ke is chej ke knowledge nhi hoti hai to iske lye aap fevicon icon generated online tool ka use kar ek acha favicon ko bna sakhte hai.
Is link par click kar aap online favicon crate kar sakhte hai.
Free favicion icon generater aaj ke samay mai bahauat sare Internet par uplabd hai iske lye aap google par search kar sakhte hai or ek acha sa favicon bna sakhte hai.
Yadi aap chahe to free favicon ko diwnload bhi kar sakhte jiske lye bahuat sari website hai jha se aap apne blog ke lye apni pasand ka icon downlod kar sakhte hai.
Free me icon ko kaise banaye
Aab baat ati hai ki apne favicon icon ka size kya hona chaiye?To mai bta du ki iske lye 16×16 , 32×32 ya 64×64 pixel ka size chun sakhte hai lekin me apko 32×32 size ka Favicon bnane ke lye khuga kyuki ye sabhi morden browser me fix hota hai or shi se dikhta hai.

Blogspot/Blog me favicon icon kaise Add kare?

Yadi apka blog blogger platform par bna hai or usme favicon lagana chahte hai to iskle me apko 2 bahaut asan se tarike bataoga jisme se aap koi ek asaan tarike ko follow kar blog me favicon lga sakhte hai.
Is Method se blog me favicon lagane ke lye bataye gye steps ko follow kare:-

Sabse pahle apna Blogger Dashboard ko open kare.
1.layout par click kijiye.

2.Favicon widget me Edit par click kijiye.




1.Aab apne samne ek popup window open hogi jisme browser button par click karke apna icon upload kar dijiye.

2.Aab Save button par click par click kar dijiye.


                      


Aab apko icon blog me Add ho gya hai.Aab save arrengment par click kar dijiye wo wigdet finally save ho gya.
Mubarak ho apka icon blogspot blog par successfully Add ho gya.Ise check karne ke lye ek new window me apna blog ko open kijiye or CTRL+F5 jisse apka browser hard reset ho jaye. Esa karne ke baad aap dekhege ki apka favicon icon show hone lga hai.

Agar apko phele bale method ko use karne me koi koi problem arhi hai to mai apko dusra tarika btane ja rha hu jisse aap apne blog me Favicon icon lga sakhte hai.
Apna Blogger Dashboard ko open kijiye.

1.Theme par click kijiye.

2.Edit Html par click kijiye.


1.CTRL+F dabaiye aur ]]></b:skin> ko search kijiye abb  ]]></b:skin> ke baad niche diya gya code paste kar dijiye.

2.

3.Aab http://your-favicon-url.png ki jaghe apna Favicon url paste kar de.

4.Save theme par click kar dijiye.

Aab apke blog me Favicon icon show hone lagega.Yadi aap chek karege to ho skhta hai ki browser cache ki bajese apko favicion show na ho.Islye apni browser cache history ko delete kar apna blog open kare abb apka icon show hone lagega.
To friends hume lgta hai aap upar diye gye dono methods me se ek ka use kar apne blog me favicon icon lga liya hoga.Agar apko abhi bhi koi problem aarhi hai to comment karke puch lena.Yadi apko post achi lagi to ise apne whatsApp or facebook ya social media pe apne friends ko share jarur kare.