Hello dosto ajj me apke lye ek esa artical laya hu jo apko blogging me bahuat help karega. Har blogger ki post me kuch images ki avsaykhta hoti hai.Kyuki aap kisi ko bhi bina images ke kuch samjana chae to sayad hi bhe samaj paye kyuki human ek tendency hoti hai ki bhe likhi hui chej ko itna jaldi yaad nhi kar pata jitna jadli use ek image se ho jata hai.Islye har post me ke image hona jaruri hota hai jo discribe karta hai ki post kis topic se realtive hai or dekhne bale ko ek hi baar me pta chal jata hai.JPG image editor ek esa editior hai jo un logo ke lye bahuat helpfull hai jin ke pass laptop , ya computer nhi hai or bo apni blogging apne phone se karte hai.
Jesaki hum jante hai ki images ke size bahuat bade hote hai jisse hamare blog ki post ka full page open hone me kafhi time lagta hai jisse humara kafhi traffic kam ho jata hai.Islye hame apne post ke lye kam size bali image chaiye hoti hai jo jaldi open ho jae.

JPG IMAGE REDUCER KYA HAI?

JPG Image redurecer ek andriod aap hai jo kishi bhi prakar ki images ka size ko kaam karta hai chai bo KB me ho ya Phir MB me ho.

*Ise se Apki photo SEO friendly bhi banti hai.

Images ko SEO friendly tab kha jata hai jab bo bahuat hi kaam samay me open ho jaye or bo har tarike ke net par jald se jald open ho jaye.Image ka size jitna kam hoga apki image utno hi Achi SEO friendly hoti hai or jis imaze ka size jitna jada hoga bo image SEO friendly nhi hoti.Ye aap apko image ka size reduce yani kam karbe me madad karta hai.

Blogging me image ka sabse badha problem hai Islye maine socha is problem ke lye JPG image reducer app bahuat hi badiya hai. Iska use kana computer or laptop ke mukable bahuat esay hai.

Follow these simple steps:-

∆Step1-Sabse phele apko Playstore me search karna hai JPG image reducer uske baad isko install kar lena hai.

∆Step2-Install karne ke baad apko apne app ko open karna hai.Open karne ke baad Aap apse kuch permissions lega uske baad apka aap start ho jaega.

Images ka Size Reduce kaise kare???

∆Step1-Jaise hi appka aap open hoga to apko 2 box dikhege first jisme load option hoga.And second Action option ka box hoga.

∆Step2-load par click kar apko bo image select karni hai jiska apko size reduce karna hai.

∆Step3-Select karne ke baad apko Second option (Action) par click karna hai yha apko 5 option milage ge.Apko jadatar jin optiono ka use karna hai bo ye do hai.

•Option1-Reduce to % of original.
Iska matlab hai aap apni image ka kitna % kam karna chahte hai.yani 10% , 20% ...etc.

•Option2-Reduce to KB/MB
Iska matlab hai aap apni image ko jo MB ya KB me hai unko kitne KB/MB me reduce karna chahte hai.
Ab aap jinta chahe apni images ka size reduce kar sakhte hai.

Agar apko ye post achi lage to ise share jarur kare taki iske bare me sabko pta chal sake or un logo ki bhi help ho sakhe jinke pas PC ya laptop nhi hai.