Jiasa ke aap sabhi jante hai ke masson ka season chal rha hai. Kai Elako me to baadh jiase halat hai or kai jaghe abhi gye hai. To ese common hai ke aap bheeg jaye or sath hi ho sakhta hai aapka phone bheeg jaye to ese me agar apka phone waterproof nhi hai problem ho sakhti hai. To apko iski seafty ko lekar chinta to jarur hoti hogi. IS mosam me log aksar bheeg jate hai aur iske sath mobile phone jiase keemati cheeej bhi bheeg jati hai. Agar mobile pani me gir jaye to kharab ho sakhta hai. To aye jante hai, Kya kare jab phone bheeg jaye....


Phone Turant Kare Switch off


Agar phone barish me bheeg jaye ya pani me gir jaye, to sabse phale phone ko Switch off kr dena cahiye. Turant switch off karne se short circuit se bacha ke khatre se bacha ja sakhta hai.

Zip Pouch ka kare Istemaal

Aaj kal market me saste me mobile zip pouch mil jate hai. Yadi yhe kharidna bhi sambhav nhi hai, to ise kisi plastic bag me bhi rakh sakhte hai. Wese zip pouch air tight, waterproof hota hai, islye better rhta hai.

Earphones ka kare Istemaal

Barrish ke doraan calling - receiving ke liye earphones ka istemaal karna bhetar hoga. Agar phone me pani chla jaye, to kisi bhi halat me na to call receive kare or na hi call dial kare.

Phone Shukane par hi kare Istemaal


Mobile phone jab tak puri tarhe se shook na jaye, tab tak ise on na kare. Mobile phone bheeg hoi gya hai to sabse phale phone ke battery nikal de or shukne ke liye rakh de. Uske baad ise shaaf cooton kapade se poache. Phone ke nami ko door karne ek tarika yhe bhi hai ke phone ko chabal(rice) se bhare dabbe ke beech me rakh de or kareeb 12hour tak bha rhka rhane de. Isse phone ke bhetar ke nami khatam ho jayegi.

Na kare Hair Dryer ka Istemaal

Aksar log phone ko sukhane ke liye hair dryer ka istemaal karne lagte hai, lekin yhe shi nhi hai. Isse phone me mojud motherboard khrab ho sakhta hai. Agar in tariko se bhi phone thik na ho, to phir company ke service center le jana hi thik rhega.


Yhe the kuch safe tarike jisse phone ko bhegne ke bacha sakhe or sath hi agar bheeg jaye to kya kare.


Agar aapko ye post achi lagi ho to ise jada se jada share kare taki or log bhi iska fyada uta sakhe or sath hi apne phone ko barrish se bacha sakhe or bheeg jaye to kaya kare. 


Read more relative articles